Wo hamara choti choti baton pe birachna
Un haton pe bado ka muskurana
Papa ka wo hawa me uchalna
Hawa me jaate hi hamara wo khilkhilana
Bachpan ke wo pyaare din ka yun gujarna…..
Wo school na jaane ke liye rona
Pencil ki nok toootne par birachna
Paani ke bottle ke liye wo jhagadna
Chutti ki ghanti par, wo daud kar gate se nikalna
Mummy ka wo roj gale se lagana
School ke wo pyaare din ka yun gujarna….
Wo hostel me naye dost banana
Mess ke khane se tang ho, Maggi khana
Tang competition me bi dosto ka saath nibhana
Wo partiyan, wo ghaat, wo taash ki baazi, wo raat bhar jaagna….
Hostel ke wo pyaare din ka gujarna……
Is bawnre man ki ek baat batata hoon mere yaar…..
Aaj jab bi wo din yaad aaten hai…
To aankhein nam aur labo pe mushkaan aa jaati hai….
Sach kehta hoon mere yaar,…..ji lo un lamho ko
Ye jindagi badi jaldi gujar jaati hai !!
nostalgic and refreshing..
ReplyDeletehey i too write hindi poetry's but never got the courage to post them! thanks now i will surely do n do COMMENT!!! ;) NICE ONE THOUGH!!
ReplyDelete@ Ankita..
ReplyDeleteChalo atleast my work inspired someone to post....DO post it i wud defnitely COMMENT!!